By Rana Mehtab Alam, Lunar Computer College
🎥 Introduction
Agar aap naye YouTuber hain aur videos upload kar rahe hain, to aap ko YouTube ki latest policy (July 2025 update) zaroor maloom honi chahiye. Ye update khas tor par un creators ke liye hai jo AI-generated ya repetitive videos upload karte hain.
📌 What’s New in July 2025?
YouTube ne “Repetitive Content” ka naam badal kar ab rakh diya hai:
🔴 Inauthentic Content (یعنی جعلی یا غیر اصلی مواد)
🗓 Policy apply ho chuki hai from 15 July 2025.
Inauthentic content ka matlab hai aisi videos jo:
- AI se bina kisi human creativity ke banai gayi hoon
- Bar bar ek jaise templates ya same style mein upload ki gayi hoon
- Jisme creator ka voice, opinion, ya original effort nazar na aaye
❌ Kya Monetize Nahi Hoga?
YouTube ab monetize nahi karega agar:
- Aap text-to-speech software se bina voiceover videos banayen
- Aap ne AI tools se content banaya ho aur usme koi asli input na ho
- Aap dusri videos ko sirf edit karke daal rahe hain bina apni opinion ke
- Har video ek jaise template, visuals aur style mein ho
⛔ Aisi videos ko low effort ya “AI slop” kaha ja raha hai.
✅ Kya Abhi Bhi Allowed Hai?
Relax! YouTube sirf un videos ko roknay ja raha hai jo pure copy ya auto-generated hoti hain.
Agar aap ye kaam karte hain to monetization still allowed hai:
- Aap AI ka use karte hain sirf support ke liye (like animation, B-rolls)
- Aap video mein apni awaaz, soch, aur editing dikhate hain
- Aap reaction videos, tutorials, ya storytelling karte hain
- Aap dusre content ko transform karte hain (like adding commentary)
🎙️ “Human input zaroori hai!”
👇 New YouTubers ke Liye Tips
Agar aap chahte hain ke aapki videos monetize ho jayein, to ye tips follow karein:
- Use AI, but not blindly
AI tools ka use sirf help ke liye karein, content aapka original ho
- Add your own voice or face
Khud bol kar ya apna reaction de kar content ko asli banayein
- Avoid same style uploads
Har video mein thoda naya layein (thumbnail, title, idea)
- Explain, review or narrate
Bina explanation ke sirf clips dikhana enough nahi hai
- Educational ya motivational touch de
Viewers ko koi faida mile, sirf visuals na ho
⚠️ Agar Aapki Video Demonetize Ho Jaye?
Koi baat nahi! Aap:
- YouTube Studio mein reason check karein
- Appeal kar sakte hain agar aapko lagay decision galat hai
- Video edit karke dobara apply karein monetization ke liye
📜 Summary Table (خلاصہ)
| Rule | Explanation |
|---|---|
| New Policy Name | Inauthentic Content |
| Effective From | 15 July 2025 |
| What’s Not Allowed | AI-only, repetitive, no human input |
| Allowed? | Yes, if original + human voice/thought added |
| Tips | Use AI wisely, add voice, show creativity |
🔗 Useful Link (مزید معلومات)
💡 Final Advice
Aap new YouTuber hain to ghabraiye nahi. YouTube sirf un logon ko rok raha hai jo asli kaam ki bajaye bots aur AI se copy content bana rahe hain.
Agar aap apna dil se video bana rahe hain, awaaz ya opinion de rahe hain — to aap safe hain!